Post
Topic
Board Other languages/locations
Re: Pakistan
by
Compromise me
on 25/08/2025, 18:33:33 UTC

Debating New Provinces proposed by COAS Pakistan
Well guys scene Kuch aisa ha ky Kuch dino Sy Pakistan Mai ik news bohout pail Rahe ha regarding new provinces Jo ky abhi just sooch ha isko amli jama pehnany ky Liya constitution amendments paish ki jai ge aur country Mai 4 province ko divide karky totally 12 provinces banany ki tajweez de gaye ha. Jiska main maqsad governance ky nizam ko behtr banany ky Liya aur awam ko mehroomi ko door karny ky Liya paish Kiya gaya ha Jo ky ik vital sooch ha aur bohout pahly hoona chahiya ta.
Agar asa hota h, to samaj leien Pakistan ke taraqi k din shoro ho gy, lekien mujy nhi lagta k asa kush hoga hamray mulk k big black mafiya asa hony nhi dien gy kuin asa honie sy sab sy phely hamray mulk me jo clearness aye gi to ye clearness he black mafiya nhi chahti, baqi ham ye  samajhte ha ke new sobay banane se governance behtareen hogi aur awaam tak haqooq aur resources asani se pohanch saken ge.

Lekin agar ham is k Dusri taraf dekhien aur soch to ye eik siyasi chaal qarar b ho sakti hai  jo sirf vote bank mazboot karne ke liye ho aur agar asa hota b h to mujy lagta hai ye sobon wala fasela awan ke raye sy lena chahiye kuin k foj to phely he chahti h k sab hamray control me ho aur agar asa hota h to foj k leye aur asani ho jaye gi, ajib hai ye sab agar ye itna he awam k leye soch rahy hi to phely on k oper tax k boj to halky karien abi tak in sy ye 200 unit wala jag ga tax ka hal nhi howa aur ye awam k leye itha kush karien gy nhi me nhi manta ye sab in ke koi new chaal hai kuin Pakistani government awan ka bala tabi karti hai jis me hunie koi faida dekhie.